Raahein Kabhi Bhatakti Nahi, Hum Bhatak Jaate Hain,
Khuda Ko Bewajah Kos Kar, Ruth Hum Jaate Hain...
Wo To Har Samay Humein Sambhalte Hain,
Na Jaane Kyu, Fir Bhi, Hum Dagmaga Jaate Hain..
Roz Hota Hai Iss Dil Mein Shor, Roz Hoti Hai Iss Dil Mein Khamoshi,
Thak Jaate Hain Hum Magar, Har Pal Rehti Hai Ye Behoshi!
Badi Shiddat Se Aaj Likhne Chale Hum, Iss Dil Ki Kahani,
Shabd Chup Ho Gaye Aur, Chalke Aankhon Ki Zabaani…
Na Jaane Kyu Hum Inse Kheeche Chale Jaate Hain,
Rote Hain Khud Aur Aansu Hume Manaate Hain..
Khuda Ko Bewajah Kos Kar, Ruth Hum Jaate Hain.
Raahein Kabhi Bhatakti Nahi, Bhatak Hum Jaate Hain…
Hello Priyanka,
ReplyDeleteI am still in a state of shock after reading your creation!
An awesome composition.
Regards,
Dimple
i wuld like to continue....it
ReplyDeleteraahein kabhi bhatakti nahi, bhatak hum jate hai,
nai zindagi ki tallash mey, nayi umang ke sath,
purani yaado ko peeche chod, unn nayi ummedo ke saath... raahein phir bhi wahi rehti hai,chode unn yaado ki chap.. log badalte nahi, badal hum jate hai.. raahein bhatkti nahi, nhatak hum jate hai...
Hope u like it..
@ Dimple,
ReplyDelete:-))))) heehee.. "shock"??
Thanks dear..
@ Rashmi,
Hmmmm.. someone writes really well..
Thanks dear