Thursday, December 17, 2009

Meri Likhi...

"Har Pal Laata Hai Yaadein Teri,
Kisse Kahu Main Wo Baatein Teri?
Roz Hota Hai In Aankhon Ko Intezar,
Bas, Kahin Se Laut Aaye Wo Mohobbat Teri"!!!

Wednesday, December 16, 2009

A TRIBUTE…

My childhood friend, Neeta and her mom left us last year on 17 DECEMBER,2008… They lost their lives in a road accident… I’m here, writing my feelings for them..


 “It’s a year now, and, I have decorated all your memories deep into my heart.. Right from our colony, school and after a long long gap of 10 yrs to Hyderabad.. All those days are as fresh as today… I still can’t believe that you are no more.. But you are somewhere watching all your loved ones..

 I can’t give you anything other than my prayers…
This is a tribute to you, May your soul rest in peace…!!!”

 “Ek aah bhari hogi, Humne naa suni hogi
Jaate-jaate tumne, Aawaaz to di hogi,
Har waqt yahi hai gam,
Us waqt kahaan the hum,
kahaan tum chale gaye..?
Chitthi na koi sandes, jaane wo kaunsa des, jahaan tum chale gaye..
Is dil pe laga ke thes, jaane wo kaunsa des, jahaan tum chale gaye…
Har cheez pe ashkon se, likha hai tumhara naam,
Ye raste, ghar, galiyaan, tumhe kar na sake salaam,
Har dil mein reh gayi baat,
Jaldi se chuda kar haath,
Kahaan tum chale gaye…?
Ab yaadon ke kaante, iss dil mein chubhte hain,
Na dard theherta hai, naa aansu rukte hain,
Tumhe dhund raha hai pyaar,
hum kaise karein ekraar,
ke ‘Haan’ tum chale gaye…!!!”



Tuesday, December 15, 2009

Lamhe...

"Mutthi Mein Apni Kuch Lamhon Ko Qaid Rakha Hai,
Dil Mein Mere, Teri Yaadon Ka Mela Hai,
Tuti Tasveer Ab Dhundli Ho Gayi Hai,
Jo Kehti Thi Ke Tera Mujhse Koi Rishta Hai...
Dil Mein Mere, Teri Yaadon Ka Mela Hai,
Mutthi Mein Maine Un Lamhon Ko Qaid Rakha Hai...!!!"

Thursday, December 10, 2009

Kuch Pal

"Kuch Pal Palkon Pe Palte Hain,
Kuch Pal Ankhon Mein Jalte Hain,
Toota Sa Khwaab Lekar, Door Jaate Huye,
Kuch Pal Karwat Badaltein Hain..!!!"

Friday, December 4, 2009

Isi ka naam shayad, ZINDAGI hai!!!

"This is LIFE they say,
All made of mirror and clay,
One breaks soon and other gets washed away..."


"Isi ka naam shayad, ZINDAGI hai!!
Har samay wahi nahi rehta, har din yeh rukh badalti hai,
Achha ho ya bura, yeh yaadein chod jati hai,
Pal guzarta hai yahan chutki mein, raatein dhalti hain yaadon mein,
Koi kisika nahi yahaan, fir bhi, samay beet jaata hai sabko apna banane mein,
Guzare Kal ke andhere mein yeh humein rulaati hai,
Subah fir naye kal ki umeed mein hasaati hai,
Ajeeb khel hai us khuda ka, jiske pehlu mein humari zindagi simat jaati hai..
In sab ke beech dekhiye,
Na koi dost hamesha sath rehta hai, na koi saathi,
Yeh to us phool ki tarah hai, jo aaj khilta hai, kal bikhar jaata hai..
Ya us taare ki tarah, jo aaj nazar aata hai, aur kal tut jaata hai…
Koi kisise shikaayat nahi karta, koi kisike liye aansu nahi bahaata,
Bas yuhi dil mein rakhta hai, ek dhundli si tasveer, ek meethi si yaad…
Guzar jaati hai yuhi Zindagi bas,
Achha ho ya bura, yeh yaadein chod jati hai,
Guzare Kal ke andhere mein yeh humein rulaati hai,
Subah fir naye kal ki umeed mein hasaati hai,
Bas yuhi iski tasveer reh jaati hai…
Isi ka naam shayad, ZINDAGI hai!!!"