Meri
khidki par chand ki roshni ka ujaala tha,
Jeevan mein
jaise tere naam ka savera aya tha,
Teri yaad
mein na jaane kab raat beet gayi,
Beete palon
ko fir khilte hue jo paya tha...!!!
Kehte
hain, guzre hue kal ki yaad na kije, beet gaya so beet gaya...
Par, kya
wo sachme, beet jaata hai? Ya humein jeena sikha jaata hai!!!
Bade dino
baad likhne ka mauka mila... Haan, jeevan badalta hai.. Hum to wahi rehte hain
par!
Kyu
badal jaati hai zindagi yu k,
sawaalon k jawab na mile?
Kyu
doob jaate hain pal k,
beete lamhe na mile?
Kyu
door ho jaate hain kuch log?
Aur
phir se kyu milte hain kuch log?
Sochu
tab lagta hai, nadaani hai ye,
Kyu
is “kyu” ko jawab mile?
Kyu
is khamoshi ko awaaz mile?
Isi
ka naam zindagi hai agar,
To
kyu na thodi rahat mile!!!
Kyu
ise jawab mile,
Kyu
is khamoshi ko awaaz mile,
Kyu
humein na thodi rahat mile!!!
No comments:
Post a Comment