"This is LIFE they say,
All made of mirror and clay,
One breaks soon and other gets washed away..."
"Isi ka naam shayad, ZINDAGI hai!!
Har samay wahi nahi rehta, har din yeh rukh badalti hai,
Achha ho ya bura, yeh yaadein chod jati hai,
Pal guzarta hai yahan chutki mein, raatein dhalti hain yaadon mein,
Koi kisika nahi yahaan, fir bhi, samay beet jaata hai sabko apna banane mein,
Guzare Kal ke andhere mein yeh humein rulaati hai,
Subah fir naye kal ki umeed mein hasaati hai,
Ajeeb khel hai us khuda ka, jiske pehlu mein humari zindagi simat jaati hai..
In sab ke beech dekhiye,
Na koi dost hamesha sath rehta hai, na koi saathi,
Yeh to us phool ki tarah hai, jo aaj khilta hai, kal bikhar jaata hai..
Ya us taare ki tarah, jo aaj nazar aata hai, aur kal tut jaata hai…
Koi kisise shikaayat nahi karta, koi kisike liye aansu nahi bahaata,
Bas yuhi dil mein rakhta hai, ek dhundli si tasveer, ek meethi si yaad…
Guzar jaati hai yuhi Zindagi bas,
Achha ho ya bura, yeh yaadein chod jati hai,
Guzare Kal ke andhere mein yeh humein rulaati hai,
Subah fir naye kal ki umeed mein hasaati hai,
Bas yuhi iski tasveer reh jaati hai…
Isi ka naam shayad, ZINDAGI hai!!!"
Absolutely correct dear... Even i write but not as best as you.. leep writing, some day u will publish a book.. pakka.. best wishes..
ReplyDeleteThanks dear.. Good to know that u really liked it. But m not so good yaar.. Thanks for yo wishes.
ReplyDelete