Sunday, May 23, 2010

Aainaa

Ankhon se roothe hain khwab mere,
Honthon se roothi hai muskaan,
Kahaan jaa rahi hai ye zindagi?
Yehi soch kar hun main hairaan..

Bikharte palon me simti hun main,
Aaine se ab darti hun main,
Chalka jo dard in ankhon se kabhi,
Us toofan se darti hun main…
Bikharte palon me simti hun main,
Aaine se ab darti hun main,
Kahaan jaa rahi hai ye zindagi?
Yeh sochkar hairaan hun main…

Wednesday, April 28, 2010

Ibadat Hai Jiski....

Sapno Mein Paya Jise, Ankhon Ne Use Khoya Hai,
Isi Se Humne Mohobbat Ko Parkha Hai,
Ibadat Karte The Jiski Har Pal,
Aaj Bhi Uski Khushi Ke Liye, Ye Sar Jhukta Hai!!!

Friday, March 26, 2010

Ehsaas

Uski yaadon ka mere dil mein “MELA” sa hai,
Aaj fir bhi wo mera “APNA” sa hai..
Jab beet gaya sab tab bhi kuch baaki sa hai..
Bhul gaya hai wo mujhe par,
Ab bhi use sab “YAAD” sa hai..
Wo ab bhi mera “APNA” sa hai
Aaj bhi mera use koi “Rishta” sa hai,
Dosti ka nahi “EHSAAS” ka hai!!
Wo ab bhi mera “APNA” sa hai,
Use ab bhi sab “YAAD” sa hai

Monday, March 15, 2010

Daman...


Us waqt ke daman mein humein, Wo kisi farishte se kam na laga,
Sadiyon ka samay humein, Bas, Ek pal jaisa laga..
Bhul nahi paaye hain hum jise,
Wo khwaab aaj bhi in aankhon ko, meetha-meetha sa laga..
Najaane wo kahaan se aaya tha,
Jiska laut jaana humein bura-bura sa laga…
Us waqt ke daman mein humein, Wo kisi farishte se kam na laga…
Sadiyon ka samay humein, Bas, Ek pal jaisa laga..


Tuesday, March 9, 2010

Saath

Ankhon me uski bhi dard bhara tha,
Magar naseeb ka shayad yahi khel tha,
Har pal saath diya jisne,
Aaj wo humse mu mod kar chala tha,
Dil par uske bojh tha phir bhi,
Wo mujhe rula kar chala tha..
Mere saamne meri tasveer mita kar,
Phir wo use jodne chala tha,
Ankho me uski ab bhi dard bhara tha,
Magar naseeb ka shayad yehi khel tha…